Aashaayein

Ashkon me jaise dhul gaye sab muskurate rang,
rastey me thak ke so gayi masoom si umang,

dil hai ke phir bhi khwab sajaney ka shaouk rakhta hai,
pathar pe bhi gul uganey ka shaouk rakhta hai,

barson se yuh to ek amavas ki raat hai,
ab isko honsla kahu ya zidd ki baat hai,

dil kehta hai andhere me bhi roshni to hai,
mana ki raakh ho gayi ummeed ke alav,
is raakh me bhi aag kahin par dabi to hai.

No comments:

Post a Comment